Hazrat Muhammad ﷺ Ki Duaen
Rasool Allah (ﷺ) ye duaen manga karte the:
« اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْعَجْزِ وَالْكَسَلِ وَالْجُبْنِ وَالْبُخْلِ وَالْهَرَمِ وَعَذَابِ الْقَبْرِ
(Allahumma inni a'udhu bika minal-ajzi wal-kasali wal-jubni wal-bukhli wal-harami wa adhabi-l qabr)
Ya Allah! Mai panah mangta hoon bebasi aur susti aur buzdili aur kanjoosi aur budhape se aur qabr ke azaab se.
اللَّهُمَّ آتِ نَفْسِي تَقْوَاهَا وَزَكِّهَا أَنْتَ خَيْرُ مَنْ زَكَّاهَا أَنْتَ وَلِيُّهَا وَمَوْلاَهَا
(Allahumma ati nafsi taqwaha wa zakkiha anta khairu man zakkaha anta waliyyuha wa maulaha)
Ya Allah! Mere nafs ko taqwa dein aur usko paak kar dein, Aap usko behtar paak karne wale hain, Aap uske aaqa aur maula hain.
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ وَمِنْ دَعْوَةٍ لاَ يُسْتَجَابُ لَهَا »
(Allahumma inni a'udhu bika min ilmin la yanfa'u wa min qalbin la yakhsha'u wa min nafsin la tashba'u wa min dawatin la yustajabu laha)
Ya Allah! Mai panah mangta hoon Aap ki us ilm se jo faeda naa de aur us dil se jo Aap ke saamne naa jhuke aur us rooh se jo mutmayin naa ho aur us duaa se jo qubool naa ho."
📚: Sahih Muslim 2722 (6906)
Comments
Post a Comment