Buri nazar se hifazat ki Dua
Buri nazar se hifazat ki Dua
APNE Ya BACCHO Ke Liye Buri Nazar Se Hifazat Ki Duaa ✨
1.Rasool Allah (ﷺ) Hasan aur Husain (رضي الله عنهما) ke liye panah talab kiya karte the aur farmate the ke: "Tumhare buzurg dada (Ibrahim عليه السلام) bhi in kalimaat ke zariye Allah ki panah Ismail aur Ishaq (عليهم السلام) ke liye manga krte the:
« أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ »
(Aaodhu bikalimatil lahit tammati, min kulli shaitanin wa hammatin, wa min kulli ainin lammatin)
"Mai panah mangta hoon Allah ke kamil kalimaat ke zariye har ek shaitan se aur har zehrile janwar se aur har nuksaan pohchane wali nazar e bad se."
📚: Sahih Bukhari 3371
2. Rasool Allah (ﷺ) Hasan aur Husain (رضي الله عنهما) ke liye (in alfaaz me) Allah Ta'ala se panha mangte the:
« أُعِيذُكُمَا بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ »
(U'idhukuma bikalimatil lahit tammati min kulli shaitanin wa hammatin wa min kulli ainin lammatin)
"Mai tum dono ke liye panah mangta hoon Allah ke kamil kalimaat ke zariye, har shaitan se, har zehrile keede (saanp bichho wagera) se aur har nazar e bad wali aankh se."
Phir Aap (ﷺ) farmate: "Tumhare baap (Ibrahim عليه السلام) Ismail aur Ishaq ke liye bhi inhi kalimaat ke zariye panah mangte the."
📚: Abi Dawud 4737 | Sahih
Comments
Post a Comment